milī  havāoñ  meñ  uḌne  kī  vo  sazā  yaaro
ki  maiñ  zamīn  ke  rishtoñ  se  kaT  gayā  yaaro
vo  be-ḳhayāl  musāfir  meñ  rāsta  yaaro
kahāñ  thā  bas  meñ  mire  us  ko  roknā  yaaro
mire  qalam  pe  zamāne  kī  gard  aisī  thī
ki  apne  baare  meñ  kuchh  bhī  na  likh  sakā  yaaro
tamām  shahr  hī  jis  kī  talāsh  meñ  gum  thā
maiñ  us  ke  ghar  kā  pata  kis  se  pūchhtā  yaaro
jo  be-shumār  diloñ  kī  nazar  meñ  rahtā  thā
vo  apne  bachchoñ  ko  ik  ghar  na  de  sakā  yaaro
janāb-e-'mīr'  kī  ḳhud-ġharziyoñ  ke  sadqe  meñ
miyāñ  'vasīm'  ke  kahne  ko  kyā  bachā  yaaro