bhalā  ġhamoñ  se  kahāñ  haar  jaane  vaale  the
ham  āñsuoñ  kī  tarah  muskurāne  vaale  the
hamīñ  ne  kar  diyā  elān-e-gumrahī  varna
hamāre  pīchhe  bahut  log  aane  vaale  the
unheñ  to  ḳhaak  meñ  milnā  hī  thā  ki  mere  the
ye  ashk  kaun  se  ūñche  gharāne  vaale  the
unheñ  qarīb  na  hone  diyā  kabhī  maiñ  ne
jo  dostī  meñ  hadeñ  bhuul  jaane  vaale  the
maiñ  jin  ko  jaan  ke  pahchān  bhī  nahīñ  saktā
kuchh  aise  log  mirā  ghar  jalāne  vaale  the
hamārā  alamiya  ye  thā  ki  ham-safar  bhī  hameñ
vahī  mile  jo  bahut  yaad  aane  vaale  the
'vasīm'  kaisī  ta.alluq  kī  raah  thī  jis  meñ
vahī  mile  jo  bahut  dil  dukhāne  vaale  the