Waseem Barelvi

usne meri rah na dekhi aur wo rishta toD liya

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940

us ne merī raah na dekhī aur vo rishta toḌ liyā

jis rishte ḳhātir mujh se duniyā ne muñh moḌ liyā

baḌī baḌī ḳhushiyoñ ko haañ nazdīk se kar dekhā to

maiñ ne raah ke chalte-phirte dukh se naata joḌ liyā

maiñ kitne rañgoñ meñ Dhaltā kab tak ḳhud se laḌ paatā

jīvan ek safar thā jis ne roz nayā ik moḌ liyā

aise shaḳhs ko miir banāyā jo bas ḳhvāb dikhātā thā

bastī ke logoñ ne apnā-āp muqaddar phoḌ liyā

maiñ to bholā-bhālā 'vasīm' aur vo fankār siyāsat

us ke jab ghaTne baarī aa.ī mujh ko joḌ liyā

Top Urdushayar.com