Waseem Barelvi

kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
kitnā dushvār thā duniyā ye hunar aanā bhī
tujh se hī fāsla rakhnā tujhe apnānā bhī
kaisī ādāb-e-numā.ish ne lagā.īñ sharteñ
phuul honā hī nahīñ phuul nazar aanā bhī
dil kī bigḌī huī aadat se ye ummīd na thī
bhuul jā.egā ye ik din tirā yaad aanā bhī
jaane kab shahr ke rishtoñ kā badal jaa.e mizāj
itnā āsāñ to nahīñ lauT ke ghar aanā bhī
aise rishte kā bharam rakhnā koī khel nahīñ
terā honā bhī nahīñ aur tirā kahlānā bhī
ḳhud ko pahchān ke dekhe to zarā ye dariyā
bhuul jā.egā samundar kī taraf jaanā bhī
jānñe vāloñ kī is bhiiḌ se kyā hogā 'vasīm'
is meñ ye dekhiye koī mujhe pahchānā bhī
Top Urdushayar.com