apne  chehre  se  jo  zāhir  hai  chhupā.eñ  kaise
terī  marzī  ke  mutābiq  nazar  aa.eñ  kaise
ghar  sajāne  kā  tasavvur  to  bahut  ba.ad  kā  hai
pahle  ye  tai  ho  ki  is  ghar  ko  bachā.eñ  kaise
laakh  talvāreñ  baḌhī  aatī  hoñ  gardan  kī  taraf
sar  jhukānā  nahīñ  aatā  to  jhukā.eñ  kaise
qahqaha  aañkh  kā  bartāo  badal  detā  hai
hañsne  vaale  tujhe  aañsū  nazar  aa.eñ  kaise
phuul  se  rañg  judā  honā  koī  khel  nahīñ
apnī  miTTī  ko  kahīñ  chhoḌ  ke  jaa.eñ  kaise
koī  apnī  hī  nazar  se  to  hameñ  dekhegā
ek  qatre  ko  samundar  nazar  aa.eñ  kaise
jis  ne  dānista  kiyā  ho  nazar-andāz  'vasīm'
us  ko  kuchh  yaad  dilā.eñ  to  dilā.eñ  kaise