dukh  apnā  agar  ham  ko  batānā  nahīñ  aatā
tum  ko  bhī  to  andāza  lagānā  nahīñ  aatā
pahuñchā  hai  buzurgoñ  ke  bayānoñ  se  jo  ham  tak
kyā  baat  huī  kyuuñ  vo  zamāna  nahīñ  aatā
maiñ  bhī  use  khone  kā  hunar  siikh  na  paayā
us  ko  bhī  mujhe  chhoḌ  ke  jaanā  nahīñ  aatā
is  chhoTe  zamāne  ke  baḌe  kaise  banoge
logoñ  ko  jab  aapas  meñ  laḌānā  nahīñ  aatā
DhūñDhe  hai  to  palkoñ  pe  chamakne  ke  bahāne
aañsū  ko  mirī  aañkh  meñ  aanā  nahīñ  aatā
tārīḳh  kī  āñkhoñ  meñ  dhuāñ  ho  ga.e  ḳhud  hī
tum  ko  to  koī  ghar  bhī  jalānā  nahīñ  aatā