chāñd  kā  ḳhvāb  ujāloñ  kī  nazar  lagtā  hai
tū  jidhar  ho  ke  guzar  jaa.e  ḳhabar  lagtā  hai
us  kī  yādoñ  ne  ugā  rakkhe  haiñ  sūraj  itne
shaam  kā  vaqt  bhī  aa.e  to  sahar  lagtā  hai
ek  manzar  pe  Thaharne  nahīñ  detī  fitrat
umr  bhar  aañkh  kī  qismat  meñ  safar  lagtā  hai
maiñ  nazar  bhar  ke  tire  jism  ko  jab  dekhtā  huuñ
pahlī  bārish  meñ  nahāyā  sā  shajar  lagtā  hai
be-sahārā  thā  bahut  pyaar  koī  pūchhtā  kyā
tū  ne  kāñdhe  pe  jagah  dī  hai  to  sar  lagtā  hai
terī  qurbat  ke  ye  lamhe  use  raas  aa.eñ  kyā
sub.h  hone  kā  jise  shaam  se  Dar  lagtā  hai