Waseem Barelvi

andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
añdherā zehn kā samt-e-safar jab khone lagtā hai
kisī kā dhyān aatā hai ujālā hone lagtā hai
vo jitnī duur ho utnā hī merā hone lagtā hai
magar jab paas aatā hai to mujh se khone lagtā hai
kisī ne rakh diye mamtā-bhare do haath kyā sar par
mire andar koī bachcha bilak kar rone lagtā hai
mohabbat chaar din kī aur udāsī zindagī bhar kī
yahī sab dekhtā hai aur 'kabīrā' rone lagtā hai
samajhte hī nahīñ nādān kai din kī hai milkiyyat
parā.e khetoñ pe apnoñ meñ jhagḌā hone lagtā hai
ye dil bach kar zamāne bhar se chalnā chāhe hai lekin
jab apnī raah chaltā hai akelā hone lagtā hai
Top Urdushayar.com