añdherā  zehn  kā  samt-e-safar  jab  khone  lagtā  hai
kisī  kā  dhyān  aatā  hai  ujālā  hone  lagtā  hai
vo  jitnī  duur  ho  utnā  hī  merā  hone  lagtā  hai
magar  jab  paas  aatā  hai  to  mujh  se  khone  lagtā  hai
kisī  ne  rakh  diye  mamtā-bhare  do  haath  kyā  sar  par
mire  andar  koī  bachcha  bilak  kar  rone  lagtā  hai
mohabbat  chaar  din  kī  aur  udāsī  zindagī  bhar  kī
yahī  sab  dekhtā  hai  aur  'kabīrā'  rone  lagtā  hai
samajhte  hī  nahīñ  nādān  kai  din  kī  hai  milkiyyat
parā.e  khetoñ  pe  apnoñ  meñ  jhagḌā  hone  lagtā  hai
ye  dil  bach  kar  zamāne  bhar  se  chalnā  chāhe  hai  lekin
jab  apnī  raah  chaltā  hai  akelā  hone  lagtā  hai