tumheñ  ġhamoñ  kā  samajhnā  agar  na  aa.egā
to  merī  aañkh  meñ  aañsū  nazar  na  aa.egā
ye  zindagī  kā  musāfir  ye  be-vafā  lamha
chalā  gayā  to  kabhī  lauT  kar  na  aa.egā
baneñge  ūñche  makānoñ  meñ  baiTh  kar  naqshe
to  apne  hisse  meñ  miTTī  kā  ghar  na  aa.egā
manā  rahe  haiñ  bahut  din  se  jashn-e-tishna-labī
hameñ  patā  thā  ye  bādal  idhar  na  aa.egā
lagegī  aag  to  samt-e-safar  na  dekhegī
makān  shahr  meñ  koī  nazar  na  aa.egā
'vasīm'  apne  añdheroñ  kā  ḳhud  ilaaj  karo
koī  charāġh  jalāne  idhar  na  aa.egā