khul  ke  milne  kā  salīqa  aap  ko  aatā  nahīñ
aur  mere  paas  koī  chor  darvāza  nahīñ
vo  samajhtā  thā  use  pā  kar  hī  maiñ  rah  jā.ūñgā
us  ko  merī  pyaas  kī  shiddat  kā  andāza  nahīñ
jā  dikhā  duniyā  ko  mujh  ko  kyā  dikhātā  hai  ġhurūr
tū  samundar  hai  to  hai  maiñ  to  magar  pyāsā  nahīñ
koī  bhī  dastak  kare  aahaT  ho  yā  āvāz  de
mere  hāthoñ  meñ  mirā  ghar  to  hai  darvāza  nahīñ
apnoñ  ko  apnā  kahā  chāhe  kisī  darje  ke  hoñ
aur  jab  aisā  kiyā  maiñ  ne  to  sharmāyā  nahīñ
us  kī  mahfil  meñ  unhīñ  kī  raushnī  jin  ke  charāġh
maiñ  bhī  kuchh  hotā  to  merā  bhī  diyā  hotā  nahīñ
tujh  se  kyā  bichhḌā  mirī  saarī  haqīqat  khul  ga.ī
ab  koī  mausam  mile  to  mujh  se  sharmātā  nahīñ