kuchh  itnā  ḳhauf  kā  maarā  huā  bhī  pyaar  na  ho
vo  e'tibār  dilā.e  aur  e'tibār  na  ho
havā  ḳhilāf  ho  maujoñ  pe  iḳhtiyār  na  ho
ye  kaisī  zid  hai  ki  dariyā  kisī  se  paar  na  ho
maiñ  gaañv  lauT  rahā  huuñ  bahut  dinoñ  ke  baad
ḳhudā  kare  ki  use  merā  intizār  na  ho
zarā  sī  baat  pe  ghuT  ghuT  ke  sub.h  kar  denā
mirī  tarah  bhī  koī  merā  ġham-gusār  na  ho
dukhī  samāj  meñ  aañsū  bhare  zamāne  meñ
use  ye  kaun  batā.e  ki  ashk-bār  na  ho
gunāhgāroñ  pe  uñglī  uThā.e  dete  ho
'vasīm'  aaj  kahīñ  tum  bhī  sañgsār  na  ho