tumhārī  raah  meñ  miTTī  ke  ghar  nahīñ  aate
isī  liye  to  tumheñ  ham  nazar  nahīñ  aate
mohabbatoñ  ke  dinoñ  kī  yahī  ḳharābī  hai
ye  ruuTh  jaa.eñ  to  phir  lauT  kar  nahīñ  aate
jinheñ  salīqa  hai  tahzīb-e-ġham  samajhne  kā
unhīñ  ke  rone  meñ  aañsū  nazar  nahīñ  aate
ḳhushī  kī  aañkh  meñ  aañsū  kī  bhī  jagah  rakhnā
bure  zamāne  kabhī  pūchh  kar  nahīñ  aate
bisāt-e-ishq  pe  baḌhnā  kise  nahīñ  aatā
ye  aur  baat  ki  bachne  ke  ghar  nahīñ  aate
'vasīm'  zehn  banāte  haiñ  to  vahī  aḳhbār
jo  le  ke  ek  bhī  achchhī  ḳhabar  nahīñ  aate