kahāñ  savāb  kahāñ  kyā  azaab  hotā  hai
mohabbatoñ  meñ  kab  itnā  hisāb  hotā  hai
bichhaḌ  ke  mujh  se  tum  apnī  kashish  na  kho  denā
udaas  rahne  se  chehrā  ḳharāb  hotā  hai
use  patā  hī  nahīñ  hai  ki  pyaar  kī  baazī
jo  haar  jaa.e  vahī  kāmyāb  hotā  hai
jab  us  ke  paas  gañvāne  ko  kuchh  nahīñ  hotā
to  koī  aaj  kā  izzat-ma.āb  hotā  hai
jise  maiñ  likhtā  huuñ  aise  ki  ḳhud  hī  paḌh  paañv
kitāb-e-zīst  meñ  aisā  bhī  baab  hotā  hai
bahut  bharosa  na  kar  lenā  apnī  āñkhoñ  par
dikhā.ī  detā  hai  jo  kuchh  vo  ḳhvāb  hotā  hai