Isma Hadia

main tujhse apni rafaqaton ka hisab likkhun

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
maiñ tujh se apnī rafāqatoñ kā hisāb likkhūñ
to āñkhoñ āñkhoñ hasīn rañgoñ ke ḳhvāb likkhūñ
bichhaḌ ke tujh se tujhī ko sochoñ tujhī ko chāhūñ
ki naam tere hī apne dil kī kitāb likkhūñ
na kuchh samajh meñ jo aa.e dil kī to ro paḌūñ maiñ
ki hijr meñ ye guzarte lamhe azaab likkhūñ
ye merī ḳhāna-ḳharābiyoñ pe savāl uTThe
chale bhī aao ki dahr ko maiñ javāb likkhūñ
hayāt apnī to ḳhushk pattī se ḳhushk-tar hai
kabhī to yuuñ hogā zindagī kāmyāb likkhūñ
udaas chehre pe yuuñ chamaktī hoñ merī āñkheñ
kabhī tabassum ke naam rañg-e-gulāb likkhūñ
Top Urdushayar.com