Isma Hadia

yun dard ki shiddat se pukari meri aankhen

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992

yuuñ dard shiddat se pukārī mirī āñkheñ

ḳhvāboñ ke bikhar jaane se haarī mirī āñkheñ

palkoñ pe ġham-e-hijr ke sab diip jalā.e

nīñdoñ ke shabistān meñ bhārī mirī āñkheñ

tanhā.ī meñ ik ḳhvāb lau phuuT rahī hai

bujh saktī nahīñ rañj maarī mirī āñkheñ

tum jab se mire aañkh ke hujre meñ makīñ ho

pur-nūr huī aur bhī pyārī mirī āñkheñ

ye kis ziyārat se chhalaktā hai ujālā

is surma-e-manzar ne nikhārī mirī āñkheñ

sapnoñ ke hasīñ taḳht pe haiñ roz-e-azal se

baiThī haiñ banī rāj-kumārī mirī āñkheñ

ye rasm shab-e-ġham se ījād huī hai

ashkoñ ke sitāroñ se sañvārī mirī āñkheñ

Top Urdushayar.com