Isma Hadia

jazbon mein pahle jaisi sadaqat nahin rahi

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992

jazboñ meñ pahle jaisī sadāqat nahīñ rahī

ab darmiyāñ hamāre mohabbat nahīñ rahī

bhūlī huī huuñ kab se maiñ ḳhud ko batā.ūñ kyā

ab tujh ko yaad karne aadat nahīñ rahī

kaisā samāñ hai kaisī ye fasl-e-bahār hai

shahr-e-vafā ke phūloñ meñ nik.hat nahīñ rahī

vo bujh ga.ī sitāra-adā aañkh kab dost

dil meñ kisī ke pyaar hasrat nahīñ rahī

terī vafā ne aisā sabaq de diyā mujhe

mujh ko kisī bhī zaat se nafrat nahīñ rahī

ai 'hādia' shu.ūr-e-mohabbat jise diyā

ab vo kah rahā hai ki ulfat nahīñ rahī

Top Urdushayar.com