Ayaz Ahmad Talib

aashiqi jurat-e-izhaar tak aae to sahi

Ayaz Ahmad Talib

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1964

āshiqī jur.at-e-iz.hār tak aa.e to sahī

vo zarā ḳhauf-e-jahāñ dil se miTā.e to sahī

kaise uThte haiñ qadam dekhiye manzil taraf

dil ke irshād pe sar koī jhukā.e to sahī

us ke qadmoñ meñ rifāqat ke ḳhazāne hoñge

merī jānib vo qadam apne baḌhā.e to sahī

jazba-e-josh-e-mohabbat tujhe sau baar salām

merī aahaT pe vo dahlīz tak aa.e to sahī

har ġhazal merī qasīda sahī terā magar

tujh ko ash.ār meñ yuuñ koī sajā.e to sahī

dāstāñ hoñge ḳhud us ujḌe hue shahar ke ġham

is añdhere meñ koī sham.a jalā.e to sahī

ḳhud-baḳhud rāsta degā ye zamāna 'tālib'

dostī ke liye vo haath baḌhā.e to sahī

Top Urdushayar.com