zindagī  chupke  se  ik  baat  kahā  kartī  hai
vaqt  ke  hāthoñ  meñ  kab  Dor  rahā  kartī  hai
sard  sī  shāmoñ  meñ  chaltī  hai  udāsī  kī  havā
chāñdnī  raat  bhī  ḳhāmosh  rahā  kartī  hai
tum  to  aa.e  ho  gulāboñ  ke  liye  der  ke  ba.ad
qarya-e-jāñ  meñ  to  ab  ḳhaak  uḌā  kartī  hai
be-sabab  āñkhoñ  meñ  aañsū  bhī  nahīñ  aate  ab
vahshat-e-dil  bhī  kahīñ  duur  rahā  kartī  hai
raushnī  meñ  to  nazar  aate  haiñ  kitne  saa.e
par  ye  tārīkī  to  saaya  bhī  judā  kartī  hai
ham  bhī  kho  jā.eñge  ik  roz  ufuq  par  yūñhī
kab  kisī  se  ye  'farah'  ziist  vafā  kartī  hai