mire  ham-raqs  saa.e  ko  bil-āḳhir  yūñhī  Dhalnā  thā
koī  mausam  nahīñ  ruktā  so  mausam  ko  badalnā  thā
taqāzā  maslahat  kā  thā  havā  se  dostī  kar  leñ
charāġhoñ  ko  ujāle  tak  yūñhī  har  taur  jalnā  thā
use  to  ye  ijāzat  thī  vo  jab  chāhe  palaT  jaa.e
safar  merā  to  baaqī  thā  mujhe  to  yūñhī  chalnā  thā
talātum  meñ  bahā  kar  jo  mirī  hastī  ko  le  jaatī
usī  mauj-e-tamannā  se  mujhe  pahle  sambhalnā  thā
hameñ  bhī  sabz  rañgat  kā  vo  pairāhan  atā  hotā
hamārī  āstīnoñ  meñ  agar  sāñpoñ  ko  palnā  thā
hamesha  apne  kaase  meñ  duāoñ  kī  talab  rakkhī
duāoñ  ke  vasīle  se  burā  har  vaqt  Talnā  thā
batāyā  thā  ki  ye  jauhar  bahut  nāyāb  hai  jānāñ
use  kho  kar  tumheñ  yūñhī  faqat  hāthoñ  ko  malnā  thā
shab-e-ġham  kī  tavālat  se  na  ghabrānā  'farah'  āḳhir
ye  sūraj  Dhal  bhī  jaa.e  to  ise  phir  se  nikalnā  thā