hameñ  to  saath  chalne  kā  hunar  ab  tak  nahīñ  aayā
diyā  apne  muqaddar  kā  nazar  ab  tak  nahīñ  aayā
thiiñ  jis  bādal  ke  raste  par  havā  kī  muntazir  āñkheñ
vo  shahroñ  tak  to  aayā  thā  idhar  ab  tak  nahīñ  aayā
na  jaane  jañgaloñ  meñ  ham  mile  kitne  daraḳhtoñ  se
ghanā  jis  kā  lage  saaya  shajar  ab  tak  nahīñ  aayā
tazabzub  ke  añdheroñ  meñ  bhaTaktā  hai  vo  ik  va.ada
palaT  kar  jis  ko  aanā  thā  vo  ghar  ab  tak  nahīñ  aayā
sajānā  chhoḌ  de  phūloñ  ko  in  chāñdī  se  bāloñ  meñ
falak  par  vo  sitārā  ik  agar  ab  tak  nahīñ  aayā
bhulā  kar  bas  zarā  sī  der  sajdoñ  kī  ibādat  ko
ye  socho  kyuuñ  duāoñ  meñ  asar  ab  tak  nahīñ  aayā
jahāñ  lākhoñ  mohabbat  ke  charāġhoñ  se  ujālā  ho
'farah'  raushan  kisī  dil  kā  vo  dar  ab  tak  nahīñ  aayā