dekhā  palaT  ke  jab  bhī  to  phailā  ġhubār  thā
kuchh  āñsuoñ  kī  dhund  thī  ujḌā  dayār  thā
yādoñ  ke  aa.ine  meñ  haiñ  ab  bhī  basī  huī
āñkheñ  ki  jin  meñ  munjamid  ik  intizār  thā
rishtoñ  kī  Dor  haath  se  chhūTī  thī  is  liye
dāman  jo  bad-gumāniyoñ  se  taar  taar  thā
kaisī  thī  mai  jo  aañkh  se  tū  ne  pilā.ī  thī
merī  ragoñ  meñ  aaj  tak  us  kā  ḳhumār  thā
TuuTā  koī  sitārā  thā  yā  ḳhvāb-e-ārzū
taa.ir  qafas  meñ  raat  bahut  be-qarār  thā
dhundlā  diye  the  jis  ne  sabhī  ā.īne  yahāñ
mere  hī  ghar  se  uTThā  vo  gard-o-ġhubār  thā