ḳhvāhish-e-vasl  ko  qalīl  na  kar
shab-e-hijrāñ  ko  ab  tavīl  na  kar
maiñ  ne  tujh  ko  rakhā  sar-āñkhoñ  par
zindagī  tū  mujhe  zalīl  na  kar
jis  kā  jī  chāhe  pī  le  jī  bhar  ke
itnī  sastī  kabhī  sabīl  na  kar
apne  nām-o-nishāñ  miTātā  chal
naqsh-e-pā  ko  tū  sañg-e-mīl  na  kar
niiñd  kī  vādiyoñ  meñ  raat  guzār
arsa-e-ḳhvāb  ko  qalīl  na  kar
terā  muhtāj  umr  bhar  maiñ  rahūñ
ai  ḳhudā  mujh  ko  ḳhud-kafīl  na  kar
raat  kī  aañkh  band  hone  lagī
dāstāñ  ko  bahut  tavīl  na  kar
maiñ  ne  to  ashk  pī  liyā  'nūrī'
apnī  āñkhoñ  ko  tū  bhī  jhiil  na  kar