rivāyatoñ  kā  bahut  ehtirām  karte  haiñ
ki  ham  buzurgoñ  ko  jhuk  kar  salām  karte  haiñ
har  ik  shaḳhs  ye  kahtā  hai  aur  kuchh  kahiye
ham  apnī  baat  kā  jab  iḳhtitām  karte  haiñ
kabhī  jalāte  nahīñ  ham  to  barhamī  kā  charāġh
vo  dushmanī  kī  ravish  roz  aam  karte  haiñ
harīf  apnā  agar  sar  jhukā  ke  miltā  hai
to  ham  bhī  teġh  ko  zeb-e-niyām  karte  haiñ
mujhe  ḳhabar  bhī  nahīñ  hai  ki  ek  muddat  se
vo  mere  ḳhāna-e-dil  meñ  qayām  karte  haiñ
haqīqatoñ  ko  jinheñ  sun  ke  vajd  aa  jaate
kuchh  aise  kaam  bhī  un  ke  ġhulām  karte  haiñ
sharāb  kam  ho  to  'nūrī'  ba-nām-e-tishna  bhī
lahū  nichoḌ  ke  labrez  jaam  karte  haiñ