Muzaffar Shikoh

sauda tumhaare ishq ka jis din se sar mein hai

Muzaffar Shikoh

saudā tumhāre ishq kā jis din se sar meñ hai
sāre-jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
marne kī aarzū bhī nikal jā.egī kabhī
aisā kahāñ ki bair duā-o-asar meñ hai
josh-e-junūñ ko kis liye sahrā kī hai talāsh
sar phoḌne kā lutf to dīvār-o-dar meñ hai
har halqa-e-ḳhayāl hai tasvīr-e-rū-e-dost
afsūn-e-intizār ye kaisā nazar meñ hai
ai dil tavālat-e-shab-e-furqat kā kyā gila
nādān farq bhī koī shām-o-sahar meñ hai
is gardish-e-mudām se ghabrā.eñ kis liye
ik halqa-e-junūñ hai jo daur-e-qamar meñ hai
sajdoñ ne farq-e-naqsh-e-qadam bhī miTā diyā
aisā bhī ik maqām tirī rahguzar meñ hai
dil de chuke haiñ jaan bhī ab de ke dekh leñ
ik imtihān ye bhī hamārī nazar meñ hai
kah do shamīm ġhuncha-e-tāza-shagufta se
bū-e-charāġh-e-kustā bhī bād-e-sahar meñ hai
Top Urdushayar.com