Amardeep Singh

is qadar bhi dil nahin TuTa hua

Amardeep Singh

Patiala, Punjab, India

1983
is qadar bhī dil nahīñ TuuTā huā
kuchh simaT saktā na ho bikhrā huā
kab talak ḳhud ko yahī kahtā rahūñ
dil pe mat le jo huā achchhā huā
kaun se manzar pe Thahre aañkh bhī
sab nazar aatā hai bas dekhā huā
ham yaqīñ kar ke use paḌhte rahe
jo bhī thā harf-e-gumāñ likkhā huā
sab marāsim rakh gayā dahlīz par
dil giraftār-e-anā hotā huā
jaane kis ġham ko rihā.ī de rahe
aañkh meñ jo ashk hai aayā huā
vaqt kitne zor se hañsne lagā
ishq jab shartoñ pe āmāda huā
haa.e tark-e-ishq par us kā ye tanz
der hī se haañ magar achchhā huā
ab use ye bhī nahīñ hai yaad tak
hai vo kis kis ko kahāñ bhūlā huā
vo jise kuchh bhī na hotā thā use
baad tere pūchh mat kyā kyā huā
chal 'amar' us shaḳhs ko jā kar mileñ
vo nahīñ miltā agar to kyā huā
Top Urdushayar.com