Mumtaz Mirza

hamara raaz-dan koi nahin hai

Mumtaz Mirza

Delhi, India

1929-1997
hamārā rāz-dāñ koī nahīñ hai
mohabbat kī zabāñ koī nahīñ hai
har ik ġhuncha hai murjhāyā huā sā
chaman meñ bāġhbāñ koī nahīñ hai
qafas se chhūT kar jaa.eñ kahāñ ham
hamārā āshiyāñ koī nahīñ hai
kahāñ jaa.eñ ye darmāñda musāfir
amīr-e-kārvāñ koī nahīñ hai
andhere rāste roke khaḌe haiñ
charāg-e-kārvāñ koī nahīñ hai
haiñ pazhmurda tirī yādoñ kī kaliyāñ
bahār-e-jāvedāñ koī nahīñ hai
ibārat hai hayāt-o-marg tum se
hamārī dāstāñ koī nahīñ hai
yahāñ har jins bik jaatī hai 'mumtāz'
suḳhan kā qadr-dāñ koī nahīñ hai
Top Urdushayar.com