Raza Jaunpuri

unki nigah-e-naz ke qabil kahen jise

Raza Jaunpuri

un kī nigāh-e-nāz ke qābil kaheñ jise
vo jins-e-mo'atabar ho atā dil kaheñ jise
shab-ḳhāna-e-hayāt kī raunaq hai aaj tak
vo raushnī faroġh ġham-e-dil kaheñ jise
kyā DhūñDte ho rah-rav-e-sarmāya-e-sukūñ
ma.adūm hai vo naqsh hī manzil kaheñ jise
ai iztirāb-e-mauj-o-talātum tire sivā
vaj.h-e-sukūñ vo kaun hai sāhil kaheñ jise
dīvāngī-e-ahl-e-junūñ par na jā.iye
shā.ista-e-yaqīñ hai vo ġhāfil kaheñ jise
me.arāj jis ko kahte haiñ sahrā-e-ishq kī
vo hai bagūla aaj bhī mahmil kaheñ jise
ġhunchoñ pe kyā guzar ga.ī sun kar ye kyā ḳhabar
vo lai ḳharosh-e-qalb-e-anādil kaheñ jise
mamnūn-e-iltifāt bhī aksar huā huuñ maiñ
us chashm-e-nīm-bāz kā qātil kaheñ jise
miltā kahāñ hai ai 'razā' be-shorish-e-junūñ
aisā sukūt garmī-e-mahfil kaheñ jise
Top Urdushayar.com