Raza Jaunpuri

ye baat teri chashm-e-fusun-kar hi samjhe

Raza Jaunpuri

ye baat tirī chashm-e-fusūñ-kār samjhe

sahrā bhī nazar aa.e to gulzār samjhe

ik baat jise sun ke hayā aa.e chaman ko

ik baat jise nargis-e-bīmār samjhe

is tarah dukāñ dil sajā.ūñ ki zamāna

dekhe to use misr bāzār samjhe

kyā shām-o-sahar us hai kyā us ke shab-o-roz

duniyā ko bhī jo kākul-o-ruḳhsār samjhe

kahtā rahā dil ki ye sahrā-e-junūñ hai

ham the ki use sāya-e-dīvār samjhe

vo bhī to chaman zaad the jo shāḳh-e-chaman ko

gardan pe laTaktī huī talvār samjhe

har chand thā dāman meñ liye vus.at-e-kaunain

is dil ko magar nuqta-e-parkār samjhe

zāhid ko bhalā kab thī yahāñ fursat-e-tafhīm

rahmat ko tirī tere gunahgār samjhe

vo haal 'razā' tum ne banā rakkhā hai dil

dekhe jo koī ishq āzār samjhe

Top Urdushayar.com