Zaheer Siddiqui

chand mohmal si lakiren hi sahi ifsha rahun

Zaheer Siddiqui

chand mohmal sī lakīreñ hī sahī ifshā rahūñ
nok-e-ḳhāma par ba-rañg-e-raushnā.ī kyā rahūñ
koī shāyad aa hī jaa.e rāsta taktā rahūñ
ek sañg-e-mīl ban jā.ūñ ba-chashm-e-vā rahūñ
khaa.ī se sab ko bachā luuñ maiñ na kuchlā jā.ūñ to
ban ke ḳhatre kā nishāñ raste meñ istāda rahūñ
dasht-e-tanhā.ī meñ yādoñ ke darindoñ se Darūñ
bach-bachā ke bhiiḌ meñ aa.uuñ to phir tanhā rahūñ
zarre zarre meñ bikhar jaanā hai takmīl-e-hayāt
mujh ko ye zebā nahīñ ab zaat meñ simTā rahūñ
apnī āvāzeñ hī jab bār-e-samā.at haiñ 'zahīr'
chīḳhte gumbad meñ behtar hai ki maiñ gūñgā rahūñ
Top Urdushayar.com