Zaheer Siddiqui

jo hausla ho to halki hai dopahar ki dhup

Zaheer Siddiqui

jo hausla ho to halkī hai dopahar dhuup

tunak-mizājoñ ko lagtī hai yuuñ qamar dhuup

mire junūn-e-qadam ne baḌā kaam kiyā

jo gard-e-rāh baḌhī kam huī safar dhuup

safā-e-shīsha-e-āriz pe khul ga.ī hai shafaq

jo un ke ruḳh pe paḌī hai mirī nazar dhuup

shab-e-visāl ye shaam bhī hai rashk-e-sahar

mahak mahak ke saraktī hai bām-o-dar dhuup

bujhī to gauhar-e-mizhgān-e-yār meñ chamkī

ḳhushā-nasīb mirī umr-e-muḳhtasar dhuup

abhī se shikva-e-hiddat abhī tapish gilā

abhī to tere muqābil huī sahar dhuup

'zahīr' terī jabīñ kyuuñ araq araq hai abhī

abhī to raah meñ baaqī hai dopahar dhuup

Top Urdushayar.com