Ateeq Anzar

udas baiTha diye zaKHm ke jalae hue

Ateeq Anzar

Banaras, Uttar pradesh, India

1963
udaas baiThā diye zaḳhm ke jalā.e hue
unheñ maiñ soch rahā huuñ jo ab parā.e hue
mujhe na chhoḌ akelā junūñ ke sahrā meñ
ki rāste ye tire hī to haiñ dikhā.e hue
ghirā huā huuñ maiñ kab se jazīra-e-ġham meñ
zamāna guzrā samundar meñ mauj aa.e hue
kabhī jo naam likhā thā guloñ pe shabnam se
vo aaj dil meñ mire aag hai lagā.e hue
zamāna phuul bichhātā thā merī rāhoñ meñ
jo vaqt badlā to patthar hai ab uThā.e hue
hayā kā rañg vahī un kā mere ḳhvāb meñ bhī
dabā.e dāñtoñ meñ uñglī nazar jhukā.e hue
maiñ tum se tark-e-ta'alluq kī baat kyuuñ sochūñ
judā na jismoñ se 'anzar' kabhī bhī saa.e hue
Top Urdushayar.com