Ashar Najmi

andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai

Ashar Najmi

Jamshedpur, Jharkhand, India

1960

andhere meñ tajassus taqāzā chhoḌ jaanā hai

kisī din ḳhāmushī meñ ḳhud ko tanhā chhoḌ jaanā hai

samundar hai magar vo chāhtā hai Dūbnā mujh meñ

mujhe bhī us ḳhātir ye kināra chhoḌ jaanā hai

bahut ḳhush huuñ maiñ sāhil par chamaktī sīpiyāñ chun kar

magar mujh ko to ik din ye ḳhazāna chhoḌ jaanā hai

tulū-e-sub.h aahaT se lashkar jaag jā.egā

chalā jaa.e abhī vo jis ko ḳhema chhoḌ jaanā hai

na jaane kab koī aa kar mirī takmīl kar jaa.e

isī ummīd pe ḳhud ko adhūrā chhoḌ jaanā hai

kahāñ tak ḳhaak paikar liye phirtā rahūñgā maiñ

use bārish ke mausam meñ nihattā chhoḌ jaanā hai

Top Urdushayar.com