Amardeep Singh

haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye

Amardeep Singh

Patiala, Punjab, India

1983
hāl-e-dil bad se bad-tar huā dekhiye
aap kā kaam hai dekhnā dekhiye
vo jo rakkhā huā hai jahāñ ke liye
aap ḳhud bhī to vo aa.ina dekhiye
aql vāloñ kī imdād ke vāste
jāñ-ba-kaf hai koī sar-phirā dekhiye
shahr jal bujh gayā log mar kab ga.e
sub.h-e-nau kal nayā hādisa dekhiye
is tamāsha-e-ahal-e-siyāsat ko aap
dekh sakte haiñ bas bārhā dekhiye
apne ausān khotī zamīñ hī nahīñ
āsmāñ ko bhī martā huā dekhiye
ek hālat hai dil kī kuchh aisī bhī jab
ḳhud ko mumkin hai ḳhud se judā dekhiye
jalva-farmā hai jo apne andar use
dam-ba-dam dekhiye jā-ba-jā dekhiye
ek duuje se uktā ga.e aadmī
in se uktā.egā kab ḳhudā dekhiye
shiddat-e-ġham hai maiñ bhī huuñ pyāsā 'amar'
aas paas ab koī mai-kadā dekhiye
Top Urdushayar.com