Ibrahim Ashk

na ku-e-yar mein Thahra na anjuman mein raha

Ibrahim Ashk

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1951

na kū-e-yār meñ Thahrā na anjuman meñ rahā

adā-e-nāz se ye dil sarā-e-fan meñ rahā

hazāroñ tūfāñ uThā.e haiñ vaqt aane par

lahū bhī ḳhaas adā se mire badan meñ rahā

maiñ ek rañg thā rañg-e-ḳhayāl-e-āvāra

kisī dhanak meñ kisī rut ke pairahan meñ rahā

anā thī ki na jhukne diyā kabhī mujh ko

pahāḌ sar pe uThā kar bhī bāñkpan meñ rahā

vo maiñ thā ki koī aur thā nahīñ ma.alūm

tamām umr jo mere jaan o tan meñ rahā

safīr-e-jāñ ke liye manzileñ nahīñ hotīñ

koī paḌāv bhī aayā to vo thakan meñ rahā

uThī jo saif-e-sitam be-niyāz-e-maut-o-hayāt

qalam-ba-dast khaḌā vādī-e-suḳhan meñ rahā

Top Urdushayar.com