Ibrahim Ashk

shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya

Ibrahim Ashk

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1951

shīshe aadmī huuñ mirī zindagī hai kyā

patthar haiñ sab ke haath meñ mujh ko kamī hai kyā

ab shahr meñ vo phuul se chehre nahīñ rahe

kaisī lagī hai aag ye bastī huī hai kyā

maiñ jal rahā huuñ aur koī dekhtā nahīñ

āñkheñ haiñ sab ke paas magar bebasī hai kyā

tum dost ho to mujh se zarā dushmanī karo

kuchh talḳhiyāñ na hoñ to bhalā dostī hai kyā

ai gardish-e-talāsh na manzil na rāsta

merā junūñ hai kyā mirī āvārgī hai kyā

ḳhush ho ke har fareb zamāne khā liyā

ye dil jāntā hai ki dil par banī hai kyā

do bol dil ke haiñ jo har ik dil ko chhū sakeñ

ai 'ashk' varna sher haiñ kyā shā.irī hai kyā

Top Urdushayar.com