Ibrahim Ashk

mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho

Ibrahim Ashk

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1951
mujhe na dekho mire jism kā dhuāñ dekho
jalā hai kaise ye ābād sā makāñ dekho
na chaaT jaa.e kaḌī dhuup surḳhiyāñ lab kī
shajar kī chhāñv kisī ghar kā sā.ebāñ dekho
mohabbatoñ kī tasallī bahut zarūrī hai
sitam ke shahr meñ ik yār-e-mehrbāñ dekho
koī bharosa nahīñ abr ke barasne kā
baḌhegī pyaas kī shiddat na āsmāñ dekho
tumhārā vaqt nahīñ sach ke bolne vaalo
na chup rahoge to kaT jā.egī zabāñ dekho
koī hasīn abhī rāste se guzrā hai
lagāo aañkh se qadmoñ ke jo nishāñ dekho
hunar to roz hī biktā hai chand sikkoñ meñ
ḳharīd le na zamāna tumheñ amaañ dekho
nahīñ hai tum meñ salīqa jo ghar banāne kā
to 'ashk' jaao parindoñ ke āshiyāñ dekho
Top Urdushayar.com