Momin Khan Momin

agar ghaflat se baz aaya jafa ki

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
agar ġhaflat se baaz aayā jafā kī
talāfī kī bhī zālim ne to kyā kī
mare āġhāz-e-ulfat meñ ham afsos
use bhī rah ga.ī hasrat jafā kī
kabhī insāf hai dekhā na dīdār
qayāmat aksar us kū meñ rahā kī
falak ke haath se maiñ jā chhupūñ gar
ḳhabar lā de koī tahtus-sarā kī
shab-e-vasl-e-adū kyā kyā jalā huuñ
haqīqat khul ga.ī roz-e-jazā kī
chaman meñ koī us kū se na aayā
ga.ī barbād sab mehnat sabā kī
kushād-e-dil pe bāñdhī hai kamar aaj
nahīñ hai ḳhairiyat band-e-qabā kī
kiyā jab iltifāt us ne zarā sā
paḌī ham ko husūl-e-mudda.ā kī
kahā hai ġhair ne tum se mirā haal
kahe detī hai bebākī adā kī
tumheñ shor-e-fuġhāñ se mere kyā kaam
ḳhabar lo apnī chashm-e-surma-sā kī
diyā ilm o hunar hasrat-kashī ko
falak ne mujh se ye kaisī daġhā kī
ġham-e-maqsad-rasī tā naza.a aur ham
ab aa.ī maut baḳht-e-nā-rasā kī
mujhe ai dil tirī jaldī ne maarā
nahīñ taqsīr us der-āshnā kī
jafā se thak ga.e to bhī na pūchhā
ki tū ne kis tavaqqo par vafā kī
kahā us but se martā huuñ to 'momin'
kahā maiñ kyā karūñ marzī ḳhudā kī
Top Urdushayar.com