agar  ġhaflat  se  baaz  aayā  jafā  kī
talāfī  kī  bhī  zālim  ne  to  kyā  kī
mare  āġhāz-e-ulfat  meñ  ham  afsos
use  bhī  rah  ga.ī  hasrat  jafā  kī
kabhī  insāf  hai  dekhā  na  dīdār
qayāmat  aksar  us  kū  meñ  rahā  kī
falak  ke  haath  se  maiñ  jā  chhupūñ  gar
ḳhabar  lā  de  koī  tahtus-sarā  kī
shab-e-vasl-e-adū  kyā  kyā  jalā  huuñ
haqīqat  khul  ga.ī  roz-e-jazā  kī
chaman  meñ  koī  us  kū  se  na  aayā
ga.ī  barbād  sab  mehnat  sabā  kī
kushād-e-dil  pe  bāñdhī  hai  kamar  aaj
nahīñ  hai  ḳhairiyat  band-e-qabā  kī
kiyā  jab  iltifāt  us  ne  zarā  sā
paḌī  ham  ko  husūl-e-mudda.ā  kī
kahā  hai  ġhair  ne  tum  se  mirā  haal
kahe  detī  hai  bebākī  adā  kī
tumheñ  shor-e-fuġhāñ  se  mere  kyā  kaam
ḳhabar  lo  apnī  chashm-e-surma-sā  kī
diyā  ilm  o  hunar  hasrat-kashī  ko
falak  ne  mujh  se  ye  kaisī  daġhā  kī
ġham-e-maqsad-rasī  tā  naza.a  aur  ham
ab  aa.ī  maut  baḳht-e-nā-rasā  kī
mujhe  ai  dil  tirī  jaldī  ne  maarā
nahīñ  taqsīr  us  der-āshnā  kī
jafā  se  thak  ga.e  to  bhī  na  pūchhā
ki  tū  ne  kis  tavaqqo  par  vafā  kī
kahā  us  but  se  martā  huuñ  to  'momin'
kahā  maiñ  kyā  karūñ  marzī  ḳhudā  kī