ulTe  vo  shikve  karte  haiñ  aur  kis  adā  ke  saath
be-tāqatī  ke  ta.ane  haiñ  uzr-e-jafā  ke  saath
bahr-ayādat  aa.e  vo  lekin  qazā  ke  saath
dam  hī  nikal  gayā  mirā  āvāz-e-pā  ke  saath
be-parda  ġhair  paas  use  baiThā  na  dekhte
uTh  jaate  kaash  ham  bhī  jahāñ  se  hayā  ke  saath
vo  lāla-rū  gayā  na  ho  gulgasht-e-bāġh  ko
kuchh  rañg  bū-e-gul  ke  evaz  hai  sabā  ke  saath
us  kī  galī  kahāñ  ye  to  kuchh  bāġh-e-ḳhuld  hai
kis  jaa.e  mujh  ko  chhoḌ  ga.ī  maut  lā  ke  saath
aatī  hai  bū-e-dāġh-e-shab-e-tār  hijr  meñ
siina  bhī  chaak  ho  na  gayā  ho  qabā  ke  saath
gulbāñg  kis  kā  mashvara-e-qatl  ho  gayā
kuchh  aaj  bū-e-ḳhūñ  hai  vahāñ  kī  havā  ke  saath
the  va.ade  se  phir  aane  ke  ḳhush  ye  ḳhabar  na  thī
hai  apnī  zindagānī  usī  bevafā  ke  saath
kūche  se  apne  ġhair  kā  muñh  hai  miTā  sake
āshiq  kā  sar  lagā  hai  tire  naqsh-e-pā  ke  saath
allāh  re  gumrahī  but  o  but-ḳhāna  chhoḌ  kar
'momin'  chalā  hai  kaabe  ko  ik  pārsā  ke  saath