āñkhoñ  se  hayā  Tapke  hai  andāz  to  dekho
hai  bul-havasoñ  par  bhī  sitam  naaz  to  dekho
us  but  ke  liye  maiñ  havas-e-hūr  se  guzrā
is  ishq-e-ḳhush-anjām  kā  āġhāz  to  dekho
chashmak  mirī  vahshat  pe  hai  kyā  hazrat-e-nāseh
tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusūñ-sāz  to  dekho
arbāb-e-havas  haar  ke  bhī  jaan  pe  khele
kam-tāla.i-e-āshiq-e-jāñ-bāz  to  dekho
majlis  meñ  mire  zikr  ke  aate  hī  uThe  vo
badnāmi-e-ushshāq  kā  e.azāz  to  dekho
mahfil  meñ  tum  aġhyār  ko  duz-dīda  nazar  se
manzūr  hai  pinhāñ  na  rahe  raaz  to  dekho
us  ġhairat-e-nāhīd  kī  har  taan  hai  dīpak
sho.ala  sā  lapak  jaa.e  hai  āvāz  to  dekho
deñ  pāki-e-dāman  kī  gavāhī  mire  aañsū
us  yūsuf-e-bedard  kā  e.ajāz  to  dekho
jannat  meñ  bhī  'momin'  na  milā  haa.e  butoñ  se
jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardāz  to  dekho