huī  tāsīr  āh-o-zārī  kī
rah  ga.ī  baat  be-qarārī  kī
shikva-e-dushmani  kareñ  kis  se
vaañ  shikāyat  hai  dost-dārī  kī
mubtalā-e-shab-e-firāq  hue
zid  se  ham  tīra-rozgārī  kī
yaad  aa.ī  jo  garm-joshī-e-yār
dīda-e-tar  ne  shola-bārī  kī
kyuuñ  na  Dar  jā.ūñ  dekh  kar  vo  zulf
hai  shab-e-hijr  kī  sī  tārīkī
yaas  dekho  ki  ġhair  se  kah  dī
baat  apnī  umīd-vārī  kī
bas  ki  hai  yaar  kī  kamar  kā  ḳhayāl
sher  kī  sūjhtī  hai  bārīkī
kar  de  roz-e-jazā  shab-e-dījūr
zulmat  apnī  siyāhkārī  kī
tere  abrū  kī  yaad  meñ  ham  ne
nāḳhun-e-ġham  se  dil-figārī  kī
qatl-e-dushman  kā  hai  irāda  use
ye  sazā  apnī  jāñ-nisārī  kī
kyā  musalmāñ  hue  ki  ai  'momin'
hāsil  us  but  se  sharmsārī  kī