Momin Khan Momin

main agar aap se jaun to qarar aa jae

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852

maiñ agar aap se jā.ūñ to qarār aa jaa.e

par ye Dartā huuñ ki aisā na ho yaar aa jaa.e

bāñdho ab chāragaro chille ki vo bhī shāyad

vasl-e-dushman ke liye sū-e-mazār aa jaa.e

kar zarā aur bhī ai josh-e-junūñ ḳhvār o zalīl

mujh se aisā ho ki nāseh ko bhī aar aa jaa.e

nām-e-bad-baḳhti-e-ushshāq-e-ḳhizāñ hai bulbul

agar nikle chaman se to bahār aa jaa.e

jiite ġhair ko ho ātish-e-dozaḳh azaab

gar mirī naash pe vo shola-azār aa jaa.e

kulfat-e-hijr ko kyā ro.uuñ tire sāmne maiñ

dil jo ḳhālī ho to āñkhoñ meñ ġhubār aa jaa.e

mahv-e-dildār huuñ kis tarah na huuñ dushman-e-jāñ

mujh pe jab nāseh-e-bedard ko pyaar aa jaa.e

Thahar josh-e-tapish hai to taḌapnā lekin

chārasāzoñ meñ zarā dam dil-e-zār aa jaa.e

husn-e-anjām 'momin' mire baare hai ḳhayāl

yaanī kahtā hai vo kāfir ki maarā jaa.e

Top Urdushayar.com