ġhairoñ  pe  khul  na  jaa.e  kahīñ  raaz  dekhnā
merī  taraf  bhī  ġhamza-e-ġhammāz  dekhnā
uḌte  hī  rañg-e-ruḳh  mirā  nazroñ  se  thā  nihāñ
is  murġh-e-par-shikasta  kī  parvāz  dekhnā
dushnām-e-yār  tab-e-hazīñ  par  girāñ  nahīñ
ai  ham-nafas  nazākat-e-āvāz  dekhnā
dekh  apnā  hāl-e-zār  munajjim  huā  raqīb
thā  sāzgār  tāla-e-nā-sāz  dekhnā
bad-kām  kā  ma.aal  burā  hai  jazā  ke  din
hāl-e-sip.har-e-tafraqa-andāz  dekhnā
mat  rakhiyo  gard-e-tārik-e-ushshāq  par  qadam
pāmāl  ho  na  jaa.e  sar-afrāz  dekhnā
merī  nigāh-e-ḳhīra  dikhāte  haiñ  ġhair  ko
be-tāqatī  pe  sarzanish-e-nāz  dekhnā
tark-e-sanam  bhī  kam  nahīñ  soz-e-jahīm  se
'momin'  ġham-e-ma.āl  kā  āġhāz  dekhnā