Momin Khan Momin

wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852

vo jo ham meñ tum meñ qarār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

vahī ya.anī va.ada nibāh tumheñ yaad ho ki na yaad ho

vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki thā mire haal par

mujhe sab hai yaad zarā zarā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

vo na.e gile vo shikāyateñ vo maze maze hikāyateñ

vo har ek baat pe rūThnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhī baiThe sab meñ jo rū-ba-rū to ishāratoñ se guftugū

vo bayān shauq barmalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

hue ittifāq se gar baham to vafā jatāne ko dam-ba-dam

gila-e-malāmat-e-aqribā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

koī baat aisī agar huī ki tumhāre ko burī lagī

to bayāñ se pahle bhūlnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhī ham meñ tum meñ bhī chaah thī kabhī ham se tum se bhī raah thī

kabhī ham bhī tum bhī the āshnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

suno zikr hai ka.ī saal ki kiyā ik aap ne va.ada thā

so nibāhane to zikr kyā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kahā maiñ ne baat vo koThe mire dil se saaf utar ga.ī

to kahā ki jaane mirī balā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

vo bigaḌnā vasl raat vo na mānñā kisī baat

vo nahīñ nahīñ har aan adā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

jise aap ginte the āshnā jise aap kahte the bā-vafā

maiñ vahī huuñ 'momin'-e-mubtalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

Top Urdushayar.com