dekh  lo  shauq-e-nā-tamām  mirā
ġhair  le  jaa.e  hai  payām  mirā
be-asar  hai  fuġhān-e-ḳhūn-ālūd
kyuuñ  na  ho.e  ḳharāb  kaam  mirā
ātishīñ  ḳhū  se  ārzū-e-visāl
pak  gayā  ab  ḳhayāl-e-ḳhām  mirā
dekhnā  kasrat-e-balā-noshī
kāsa-e-āsmā۔n  hai  jaam  mirā
rutba  uftādgī  kā  dekho  hai
arsh  ke  bhī  pare  maqām  mirā
kis  sanam  ko  chhuḌā  diyā  vaa.iz
le  ḳhudā  tujh  se  intiqām  mirā
ho  ke  yūsuf  jo  dil  churāte  ho
kaun  ho  jā.egā  ġhulām  mirā
us  lab-e-lāl  kī  shikāyat  hai
kyūñki  rañgīñ  na  ho  kalām  mirā
tū  ne  rusvā  kyā  mujhe  ab  tak
koī  bhī  jāntā  thā  naam  mirā
zānū-e-but  pe  jaan  dī  dekhā
'momin'  anjām-o-iḳhtitām  mirā
bandagī  kaam  aa  rahī  āḳhir
maiñ  na  kahtā  thā  kyuuñ  salām  mirā