Momin Khan Momin

dil-bastagi si hai kisi zulf-e-dota ke sath

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
dil-bastagī sī hai kisī zulf-e-dotā ke saath
paalā paḌā hai ham ko ḳhudā kis balā ke saath
kab tak nibhā.iye but-e-nā-āshnā ke saath
kiije vafā kahāñ talak us bevafā ke saath
yād-e-havā-e-yār ne kyā kyā na gul khilā.e
aa.ī chaman se nik.hat-e-gul jab sabā ke saath
māñgā kareñge ab se duā hijr-e-yār kī
āḳhir to dushmanī hai asar ko duā ke saath
hai kis kā intizār ki ḳhvāb-e-adam se bhī
har baar chauñk paḌte haiñ āvāz-e-pā ke saath
yā rab visāl-e-yār meñ kyūñkar ho zindagī
niklī hī jaan jaatī hai har har adā ke saath
allāh re soz-e-ātash-e-ġham bād-e-marg bhī
uThte haiñ merī ḳhaak se shole havā ke saath
sau zindagī nisār karūñ aisī maut par
yuuñ ro.e zaar zaar tū ahl-e-azā ke saath
har dam araq araq nigah-e-be-hijāb hai
kis ne nigāh-e-garm se dekhā hayā ke saath
marne ke baad bhī vahī āvārgī rahī
afsos jaañ ga.ī nafas-e-nā-rasā ke saath
dast-e-junūñ ne merā garebāñ samajh liyā
uljhā hai un se shoḳh ke band-e-qabā ke saath
aate hī tere chal diye sab varna yaas kā
kaisā hujūm thā dil-e-hasrat-fazā ke saath
maiñ kiine se bhī ḳhush huuñ ki sab ye to kahte haiñ
us fitnagar ko laag hai is mubtilā ke saath
allāh rī gumrahī but o but-ḳhāna chhoḌ kar
'momin' chalā hai kaabe ko ik pārsā ke saath
'momin' vahī ġhazal paḌho shab jis se bazm meñ
aatī thī lab pe jaan zah-o-habbazā ke saath
Top Urdushayar.com