dil-bastagī  sī  hai  kisī  zulf-e-dotā  ke  saath
paalā  paḌā  hai  ham  ko  ḳhudā  kis  balā  ke  saath
kab  tak  nibhā.iye  but-e-nā-āshnā  ke  saath
kiije  vafā  kahāñ  talak  us  bevafā  ke  saath
yād-e-havā-e-yār  ne  kyā  kyā  na  gul  khilā.e
aa.ī  chaman  se  nik.hat-e-gul  jab  sabā  ke  saath
māñgā  kareñge  ab  se  duā  hijr-e-yār  kī
āḳhir  to  dushmanī  hai  asar  ko  duā  ke  saath
hai  kis  kā  intizār  ki  ḳhvāb-e-adam  se  bhī
har  baar  chauñk  paḌte  haiñ  āvāz-e-pā  ke  saath
yā  rab  visāl-e-yār  meñ  kyūñkar  ho  zindagī
niklī  hī  jaan  jaatī  hai  har  har  adā  ke  saath
allāh  re  soz-e-ātash-e-ġham  bād-e-marg  bhī
uThte  haiñ  merī  ḳhaak  se  shole  havā  ke  saath
sau  zindagī  nisār  karūñ  aisī  maut  par
yuuñ  ro.e  zaar  zaar  tū  ahl-e-azā  ke  saath
har  dam  araq  araq  nigah-e-be-hijāb  hai
kis  ne  nigāh-e-garm  se  dekhā  hayā  ke  saath
marne  ke  baad  bhī  vahī  āvārgī  rahī
afsos  jaañ  ga.ī  nafas-e-nā-rasā  ke  saath
dast-e-junūñ  ne  merā  garebāñ  samajh  liyā
uljhā  hai  un  se  shoḳh  ke  band-e-qabā  ke  saath
aate  hī  tere  chal  diye  sab  varna  yaas  kā
kaisā  hujūm  thā  dil-e-hasrat-fazā  ke  saath
maiñ  kiine  se  bhī  ḳhush  huuñ  ki  sab  ye  to  kahte  haiñ
us  fitnagar  ko  laag  hai  is  mubtilā  ke  saath
allāh  rī  gumrahī  but  o  but-ḳhāna  chhoḌ  kar
'momin'  chalā  hai  kaabe  ko  ik  pārsā  ke  saath
'momin'  vahī  ġhazal  paḌho  shab  jis  se  bazm  meñ
aatī  thī  lab  pe  jaan  zah-o-habbazā  ke  saath