tā  na  paḌe  ḳhalal  kahīñ  aap  ke  ḳhvāb-e-nāz  meñ
ham  nahīñ  chāhte  kamī  apnī  shab-e-darāz  meñ
aur  hī  rañg  aaj  hai  āriz-e-gul-azār  kā
ḳhūn-e-dil  apnā  thā  magar  go  na  ruḳh-e-tarāz  meñ
kyūñki  na  aadhī  aadhī  raat  jaage  vo  jis  kā  dhyān  ho
āhu-e-nīm-ḳhvāb  meñ  nargis-e-nīm-bāz  meñ
ḳhusrav-e-aish-e-vasl-e-yār  jāñ-kanī  aur  kohkan
apnā  jigar  to  ḳhuuñ  huā  ishq  ke  imtiyāz  meñ
bin  tire  bazm-e-sūr  meñ  haiñ  ye  qabāhateñ  ki  hai
naġhma-e-sūr  kā  asar  naġhma-e-nai-navāz  meñ
un  se  ab  iltifāt  kī  ġhair  ko  haiñ  shikāyateñ
sun  ke  mirā  mubālaġha  minnat-e-ehtirāz  meñ
kyā  sabhī  siine  jal  chuke  kyā  sabhī  dil  pighal  chuke
bū-e-kabāb  ab  nahīñ  āh-e-jigar-gudāz  meñ
parda-nashīñ  ke  ishq  meñ  parda-darī  na  ho  kahīñ
hotī  haiñ  be-hijābiyāñ  jān-e-nahufta-rāz  meñ
raḳhna-e-dar  se  ġhair  paas  dekhā  kise  ki  aaj  hai
raḳhna-garī  kuchh  aur  hī  nāla-e-raḳhna-sāz  meñ
yād-e-butāñ  meñ  laakh  baar  fart-e-qalaq  se  ham  bhī  to
baiThe  uThe  haiñ  'momin'  aap  gir  rahe  shab  namāz  meñ