Momin Khan Momin

imtihan ke liye jafa kab tak

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
imtihāñ ke liye jafā kab tak
iltifāt-e-sitam-numā kab tak
ġhair hai bevafā pa tum to kaho
hai irāda nibāh kā kab tak
jurm mālūm hai zuleḳhā kā
tāna-e-dast-e-nārasā kab tak
mujh pe āshiq nahīñ hai kuchh zālim
sabr āḳhir kare vafā kab tak
dekhiye ḳhaak meñ milātī hai
nigah-e-chashm-e-surma-sā kab tak
kahīñ āñkheñ dikhā chuko mujh ko
jānib-e-ġhair dekhnā kab tak
na milā.eñge vo na ā.eñge
josh-e-labbaik-o-marhabā kab tak
hosh meñ aa tū mujh meñ jaan nahīñ
ġhaflat-e-jur.at-āzmā kab tak
le shab-e-vasl-e-ġhair bhī kaaTī
tū mujhe āzmā.egā kab tak
tum ko ḳhū ho ga.ī burā.ī kī
darguzar kījiye bhalā kab tak
mar chale ab to us sanam se mileñ
'momin' andesha-e-ḳhudā kab tak
Top Urdushayar.com